Details of full stack web development 6 months course at masia | ویب ڈیویلپمنٹ کورس کی مکمل تفصیل

Our Student Mr Bilal is sharing his experience of his 6 months course Fullstack Website Development at masia institute. He is comparing Front End Website Designing vs Back End Website Development courses.
HTML, CSS, Javascript, jQuery, Bootstrap, React JS, PHP Programming, MySQL and Laravel Framework.

Assalamualaikum Mera nam Bilal hai or mainay Full Stack Web development ka course Masia Institute say kiya hai. Mujhay tw web development ka blkul idea nahi tha khali nam hi suna tha lkn yahan par aa kar pahlay din hi matlab mujhay koi mushkil paish nahi ai matlab mujhay codeing wagaira ka kuch bhi nahi tha pata,lkn yahan par jin teacher say mainay parhka hai wo kafi experienced hain mujhay kisi kisam ki masla preshani nahi paish aye or kafi asani say mujhay samajh aagai.
Web Development ka yeh hai kay yeh banday par depend karta hai kay matlab konsi web development Frontend karni hai ya Backend karni hai, mainay tw dono Full Stack WEB Development ki hai jis mai frontend or backend dono ati hai.
Frontend mi alag hoti hai (HTML, CSS, Bootstrap, JQuery) or Backend mai (PHP, Object Oriented or Laravel hogya.
Banday kay upr depend karta hai kay uska intrest kis chez mai hai or Masia Institute mai ap admission lai or es mai admission ka yeh hai kay yahan par apko dubara (RETAKE) karnay ka moka milta hai agar apko nai samajh ati hai or koi chez reh jati hai tw ap dubara bhi yahan par dubara retake lay saktay hain kisi kisam ki koi fees ni le jaigi or yahan ap (Internship) kar saktay hain jis say apka faida hoga or experience hasil karkay ap kay liye hi faida hai.
yahan par jo Teacher hain wo kafi experienced hain, yahan kay jo sir hain en say hazaron students parh kar ja chukay hain or es waqt apna successfull career guzar rahay hain.